Gallinews.com Viral Sach (16/7/2017)
Bangladeshi ladki ki photo ko West Bengal me dange bhadkane ke liye istemaal kiya jaa raha hai (16/7/2017)
Radio Badhon, Bangladesh ke Online Live Radio Station ne 6 May 2017 ko apne Facebook page par ek nabalig ladki aur uske parivar ka photo post kiya tha. Ladki ko kidney ka rog hai aur uske liye donation ki appeal ki gayi thi. Appeal ke fauran baad kuch 44,000 se zyada logo ne isey share kiya aur kuch ne apne hospital me admit karane ka sujhav diya.
Par kisey pata tha ki ek patient ke liye donation ki appeal, nafrat failane waalo ke liye mauka ban jayegi. 15 June 2017 se hi is photo ko alag alag Facebook Groups / Pages par dobara post kiya gaya. Is baar Donation ki bajaye, jhuth aur nafrat ki kahani rachi gayi.
Jhutha daawa kiya jaa raha hai ki,"Ye 9 saal ki bachchi West Bengal ki rehne waali hai. Iske saath balatkar huva hai. Balatkar karne waale Muslim samudaye se hai. Aur West Bengal ki sarkaar apradhio ko shaaye de kar, Hindu samudaye ki pidha ko nazar andaz kar rahi hai.”
Is jhuthe prachar ke zariye, is ladki ke liye insaaf manga jaa raha hai. West Bengal me ‘kuch’ karne ke liye logo ko bhadkaya jaa raha hai. Log apna mobile number de kar judne ke liye bhi tayyar hote dikh rahe hai.
Deshbhakti ka mudda lekar baney aise saikdo Facebook page, aksar jhuth aur nafrat ki rajniti karne me vysat hai.
Ummid karte hai in halath me @HMOIndia, @WBPolice, @KolkataPolice is mamle pe dhyan de. Aur kisi bhi kism ki haani hone se desh ko bachaye.
Original post by Radio Badhon in Bangla language:
https://www.facebook.com/radiobadhon/photos/a.931777416868570.1073741828.931436233569355/1394553560590951/?type=3&theater
Jhuthe pages ki weblinks:
Satyaprakash Tiwari posted in दीवाना मोदी का:
https://www.facebook.com/photo.php?fbid=495750730762319&set=pcb.1906069392743493&type=3&theater
Kirti Sharma posted in WE – SUPPORT – हिंदुत्व: https://www.facebook.com/photo.php?fbid=1746735698959852&set=pcb.883221595193669&type=3&theater
Satyaprakash Tiwari posted in @कट्टर हिन्दू मंच (विश्व सनातन संघ युवा वाहिनी)@NS: https://www.facebook.com/photo.php?fbid=495750330762359&set=pcb.1477084282337924&type=3&theater
Bhagat Shing: https://www.facebook.com/photo.php?fbid=205649889962804&set=pcb.205649999962793&type=3&theater
(For More IMP News) like and follow on
https://m.facebook.com/gallinews/
https://twitter.com/gallinews?s=08
https://www.youtube.com/user/gallinews