Bank ATM Fraud se Rs. 20000 ka hua fraud
Bhayandar me rahenewali Mahila ko aaj subah SBI Bank ke naam se fake call aya aur jinhe ATM Unblock karne ke liye ATM Card no. CVC, PIN Code ki details mangi.
DURAIYA YUSUF MANASAWALA (48) inke paas apna ATM card nahi tha lekin unhone apni Daughter FATEMA YUSUF MANASAWALA (22) ke ATM ki details di.
OTP no. dene ke baad unke account se Rs. 19997/- Debit hue.
Fauran Vasai Sahakari Janata Bank Ltd me jane ke baad mamla Manager ko bataya aur fir Bhayandar Police Station me complaint di.
Fatema ka kahena hai Police ne bina bank statement ke FIR darj karvane se inkar kiya aur Bank Manager unhe kal bank statement provide karega isliye sirf ek letter ki copy police station ko di gai hai.
Gallinews apne viewers se request karta hai ki koi bhi bank se call aye to unhe apne account ki details na de aur fauran Police se contact kare, Fake Call se Savdhaan.
Ajay Devgan ka Halhi me ek video bank fraud se bachane ke liye viral hua tha.
(For More IMP News) like and follow on
https://m.facebook.com/gallinews/
https://twitter.com/galli news?s=08
https://www.youtube.com/user/gallinews