BMC Ki Karwai Shuru – Marathi Sign Board Ko Lekar 176 Shops Par Action Liya Gaya
Maharashtra me sabhi Shops, Hotels aur Establishment ke sign board Marathi me hona compulsory hain sath me diusre language ka bhi use kar sakte hain lekin Marathi me naam bada hona chaiye
GALLINEWS SHORTS PRESS LINK
ss rule ko lagoo kiye 1 saal se zyada hogaye aur bahut saare Shops walon ne abhi tak iss par amal nahi kiya ab toh Supreme Court ka diya gaya Grace Period bhi khatam hochuka hai
BMC ne iss Mamle ko lekar 28 November se Karwai karna shuru kiya aur pehle hi din 3269 Shops ka survey kar 176 Shops ke khilaf Action liya gaya
Mili jankari ke anusar pehle din sabse zyada Ghatkopar area me 18 Shops par, Bhandup me 14, Khar Bandra me 12 aur sabse kam Wadala aur Shivdi areas me 4 se 5 shops par karwai ki gayi
Hotel Mall Shops aur Establishments Par Marathi me Sign board na hone par aur Supreme Court ka order follow na karne par Rs 2000 se Rs 1 Lakh tak ka jurmana vasoola jaa sakta hai