Tunnel me 17 Days Se Phanse 41 Workers Ko Sahi Salamat Rescue Kiya Gaya Uttarkashi
Uttarakhand ke Uttarkashi me Silkyara Tunnel ka kaam chal raha tha jahan zameen khasak gayi aur tunnel bandh hogayi aur 41 labour andar phanse rehgaye they
GALLINEWS SHORTS PRESS LINK
17 Din Tunnel me phane rahe Labours ko pipe ke zariye Oxygen ke sath khane peene ki zarori cheezen pohanchayi jaa rahi thi aur sabhi labours ko rescue karne ki koshish ki jaarahi tji jo aakir kaamyab hui
17 Din ke baad maut ke moonh se bahar aaye sabhi Workers sahi salamat aur fit & fine baatye jaa rahe hain sabhi ka medical test kiya gaya
International tunnelling expert Arnold Dix ne iss kamyab opertion ke baad kaha yeh kisi chamatkar se kam nahi hai, sabhi ki mehnat ke sath tunnel me phanse logon ki himmat se yeh safalta mili, aur mujhe khushi hai ke main iss rescue operation ka hissa bana
PM Narendra Modi ne bhi sabhi 41 Labours se baat kar unki himmat aur jazba ki taarif ki aur sahi salamat tunnel se bahar aane par badhai diya