Byculla Zoo ne Diwali me 35 lakh ki kamai kiya logon ne jamke maza liya Rani Baug ka
Mumbai ka Rani Baug Veermata Jijabai Bhosale Udyan Zoo ne iss saal Diwali ki chutti ke dino me 22 October se bhaubeej ke din tak Rs 34.95 Lakh rupiye ki kamai kiya
Ek Minute mai Puri Khabar ke liye Gallinews Short Video Press Link
Iss saal Diwali ke mauqe par lagbhag 1 lakh logon ne Rani abaug visit kiya kyonke 91,626 ticket sale ki gayi sath hi 3 saal se kam age ke Bacche aur senior citizen ko free entry hai
Byculla zoo authorities ne bataya ke sirf October 25 ke din hi 25,029 tickets sale kiye gaye they jiss se qareeb Rs 10 lakh ki kamai hui hai
Byculla zoo ke Director Sanjay Tripathi ne bataya ke chutti ke dino me logon ki ticket ke liye hone wali bheed ko thoda control karne ke liye jald hi Online Ticket booking system shuru kiya jayega jiss se Visitors ko bhi Ticket lene me aasani hogi