International NewsAll NewsBreaking News

Cancer Se Joojh Rahi American Mahila Ne Hijab Pehenne Ki Ijazat Maangi, Muslim Khawateen Ne Pyaar Aur Madad Se Diya Jawab

Cancer Se Joojh Rahi American Mahila Ne Hijab Pehenne Ki Ijazat Maangi, Muslim Khawateen Ne Pyaar Aur Madad Se Diya Jawab.

America ke Alabama state ke Bay Minette ki rehne wali Jacey Abbott, jo Stage 4 metastatic breast cancer se joojh rahi hain, ne social media platform Threads par Muslim khawateen se poocha ki kya woh Muslim na hone ke bawajood hijab pehen sakti hain ya ye unke mazhabi jazbaat ki tauheen hogi? Jacey ko 2019 mein breast cancer diagnose hua tha aur treatment ke dauran unke baal jhad gaye. Unhone wig pehenne ki koshish ki, lekin garmi aur scalp mein khujli ki wajah se unhe pareshani hoti thi. Isliye unhone hijab ko ek comfortable option ke taur par apnane ke baare mein socha.

Unke sawaal par Muslim khawateen ne khulkar unka istiqbal kiya.

Kai mahilaon ne unhe hijab ke comfortable kapdon, pehenne ke tareeqe aur styling ke tips diye.

Kuch ne free hijab bhejne aur online tutorial dene ki bhi peshkash ki. Iske alawa, social media par mile support ke baad logon ne unki car repair karwane aur teen bachchon ki dekhbhal mein madad ke liye fundraiser ke zariye hazaron dollars donate kiye.

Jacey ne kaha ki agar unhe zaroorat se zyada hijab mile, toh woh unhe doosre cancer patients ke saath bhi share karengi.

Muslim khawateen ke is pyaar aur insaniyat bhare support ki kahani ne social media par logon ka dil jeet liya.

Related Posts

1 of 17,001