Covid Vaccine ke 10 Crore Dose phenk diya bataya Serum Institute of India CEO Adar Poonawalla ne
2020 aur 21 me poori duniya Corona ke qaher se pareshan tha shurwati daur me Corona ko control karne ki dawai hi samajh nahi aayi kisi ko phir alag alag desh ne Vaccine par kaam karna shuru kiya
Ek Minute mai Puri Khabar ke liye Gallinews Short Video Press Link
India me bhi Serum Institute of India (SII) ne Oxford University se milkar April 2020 se Covid19 Vaccine Covishield banana shuru kiya tha aur apna desh Developing Countries Vaccine Manufacturers Network (DCVMN) me shamil hogaya
Serum Institute of India (SII) ke Chief Executive Officer Adar Poonawalla ne bataya ke filhal apne desh me Covid19 ka asar kam hogaya hai aur logon me mann me issko lekar jo darr tha woh bhi khatam hogaya hai ab log Vaccine nahi lete
Adar Poonawala ne bataya ke December 2021 se Covishield ka production rok diya gaya hai aur lagnhag 10 Crore (100 Million) Covishield ke Doses Expire ho chuke hain jinhe phneka jaa chuka hai