Cyber Fraudsters Se 799 SIM Baramad, 2 Chhattisgarh Aur 1 Delhi Se Arrested By Thane Cyber Crime Police
Share Market Mein Zyada Profit Dene Ke Bahane Logon Se Paisa Invest Karakar Loot Lene, Fraud Karne Ki Badhti Complaint Ko Dekhte Hue Thane Cyber Crime Police Ne Investigation Shuru Kiya Aur Ek Bade Racket Ka Parda Faash Kiya.
View this post on Instagram
Police Ne Iss Mamle Mein Chhattisgarh Ke Rehne Wale Aftab Irshad Dabher (22 Years) Aur Manishkumar Mohit Deshmukh (27 Years) Ko Arrest Kiya.
Saath Hi Cyber Fraudsters Ko SIM Cards Provide Karne Wale Delhi Ke Rehne Wale Hafiz Laeek Ahmed Urf Bhaijan (48 Years) Ko Bhi Arrest Kiya Jo Kisi Aur Naam Aur Documents Ke Saath SIM Cards Nikal Kar Yeh Gang Ko Deta Tha.
Police Ne Iss Mamle Mein 779 Pre-Activated SIM Cards Baramad Kiye Aur Bataya Ke Qareeb 3000 SIM Cards Iss Cyber Fraud Ke Kaam Ke Liye Use Kiye Ja Chuke Hain.
Bataya Jaa Raha Hai Ke Maharashtra Ke Saath Rajasthan, Haryana, Telangana, Andhra Pradesh, Madhya Pradesh Aur Bhi Dusre Rajiyon Mein Aise Mamle Darj Hain Jinki Investigation Police Kar Rahi Hai.