EVM Aur Sabhi VVPAT Ki Paper Slips Count Honi Chahiye Mamle Me Supreme Court Ne Election Commission Ko Notice Issue Kiya
Desh Me Hone Wale Loksabha Election Se Pehle Supreme Court Me Yachika Dayar Ki Gayi Thi Jisme Maang Kiya Gayi Ke EVM Ke Vote Count Ke Sath Sabhi VVPAT Paper Slips Ki Ginti Bhi Honi Chahiye
Darasal EVM Me Vote Daalne Ke Baad VVPAT Machine Me Tally Hota Hai Ke Aapne Vote Kisko Kiya
Filhal Counting Ke Waqt Ek Area Se Sirf 5 Random EVM Ke Votes Aur VVPAT Machine Ki Paper Slips Ka Verification Kiya Jata Hai
Supreme Court Se Mang Ki Gayi Thi Ke Sabhi EVM Machine Ka Verification VVPAT Machine Ke Paper Slips Se Kiya Jaaye Jiski Sunwai Karte Hue Bench Of Justices B.R. Gavai And Sandeep Mehta Ne Election Commission Ko Notice Bheja Aur Jawab Manga Hai
Iss Case Ki Agli Sunwai 17 May Ko Hogi