All NewsBreaking NewsMumbaiPolitical Galli

Gujarat Riots 2002 Par Bani BBC Documentary Par Sarkar Ke Ban Ke Khilaf Supreme Court Me PIL File 6 Feb Ko Hogi Sunwai

Gujarat Riots 2002 Par Bani BBC Documentary Par Sarkar Ke Ban Ke Khilaf Supreme Court Me PIL File 6 Feb Ko Hogi Sunwai

BBC ne Gujrat me hue 2002 ke dange ko lekar India The Modi Question naam se ek Documentary banayi thi jise dekhne ya dikhane par centre ne ban lagaya hai iss ban ko galat aur gair qanooni batate hue senior lawyer Prashant Bhushan, journalist N Ram aur Trinamool MP Mahua Moitra sahit ne Supreme court pohanche they aur Delhi ke Advocate ML Sharma ne PIL file kiya tha

GALLINEWS SHORTS NEWS PRESS LINK

Advertisement

 

View this post on Instagram

 

A post shared by Gallinews (@gallinews_com)

Advertisement

 

 

Supreme Court ke Judges ki bench jisme CJI DY Chandrachud, Justices PS Narasimha aur JB Pardiwala shamil hain ne iss mamle ki sunwai 6 February ko karne kaha

petitioner ne court se mang kiya hai ke BBC ki banayi hui documentary ke dono part ki jaanch honi chaiye aur directly ya indirectly jo bhi Gujrat riots ka responsible ho uss par karwai honi chaiye aur iss documentary par lage ban ko hatana chaiye

BBC ki iss documentary ke Ban ko lekar Supreme court me PIL file karne par Union Law Minister Kiren Rijiju ne social media par post karte hue likha ke yeh supreme court ke qeemti waqt ki barbadi hai jahan hazaro aam aadmi nagrik apne case ke faisle ke liye date ka intezar kar raha hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button