Kharghar Highway Ke Paas Mahila Ki Mili Body Police Jaanch Me Lagi
Navi Mumbai ke Kharghar area mein Mumbai-Pune Highway ke paas ek mahila ki laash milne se sansani phail gayi. Mahila ki maut kaise hui aur woh kaun hai, is baat ka abhi tak pata nahi chal saka hai.
Aaj Subha highway ke paas logon ne ek mahila ka shav dekha aur police ko soochna di. Mauke par pahunchi police ne shav ko kabze mein lekar postmortem ke liye bhej diya.
Kuch din pehle bhi Navi Mumbai ke Turbhe area mein ek buzurg mahila ki hatya ka mamla saamne aaya tha, jiska police ne 24 ghante ke andar khulasa kar diya tha. Is naye mamle mein bhi police tezi se jaanch kar rahi hai.










