Mumbai ke Pollution ne Delhi Ko Bhi Peechhe Chhod Diya
Mumbai ke kharab hote air pollution par Bombay High Court ne gehri chinta jatate hue bada bayan diya hai.
Court ne kaha ki yeh behad shocking hai ki samundar ke paas hone ke bawajood Mumbai ab pollution ke mamle mein Delhi ko bhi peechhe chhod rahi hai.
Justice Girish S Kulkarni aur Justice Neela Gokhale ki bench ne police, BMC aur MPCB par narazgi jatate hue kaha ki court ke orders ka ground level par sahi se paalan nahi ho raha hai.
Court ne Mumbai Police Commissioner ko sakht nirdesh diye hain ki public streets par firecrackers jalane aur bina permission loud music systems bajane walon par turant sakht karwayi ki jaye.