Online Fraud OLX par Car kharidne wale ne ₹ 50,000 ganwaye Case file at Uran Police station
Uran main rehne wale Shadab Noor Sonde namak shaks ne Car kharidne ke liye Online App OLX par gaadiyan search kiya
Shadab ko OLX par Ghanwat Developers ke naam se 3 gaadiyon ka advertisement dikha jisme se Toyota Fortuner gaadi pasand kar ke seller ko contact kiya
Shadab ne unknown seller se phone par baat kiya jisne apna naam *Ganesh Bhosale* bataya aur ₹ 50,000/- advance amount transfer kar ke 2 din main deal close karne kaha
Do din main seller ka call ayaya aur Rs 30,000/- ki manag ki Shadab ko shak hone par pune jaakar diye hue address ka pata lagaya toh pata chala ke uske sath fraud hochuka hai
Uran Police station main Mamala darj kiya gaya Police investigation jaari