Owaisi Ko Police Ne Samjha Supreme Court Ka Judge, Janab Ne Bhi Salami Le Li!
Uttar Pradesh ke Saharanpur mein ek ajeeb-o-gareeb mamla saamne aaya hai, jahan police ne AIMIM Chief Asaduddin Owaisi ko Supreme Court ka Judge samajhkar Guard of Honour de diya.
Darasal, 21 November ko Saharanpur Circuit House mein Supreme Court ke ek Judge ka aana scheduled tha, jinke welcome ke liye policekarmiyon ko Guard of Honour dene ke liye tainat kiya gaya tha.
Lekin Judge Sahab se pehle wahan Asaduddin Owaisi apne kafile ke saath pahunch gaye.
Policekarmiyon ne Owaisi ko hi Supreme Court ka Judge samajh liya aur unhe Guard of Honour de diya.
Owaisi Sahab bhi policekarmiyon ke saamne khade hue, salami receive ki aur phir apne kafile ke saath ravana ho gaye.
Is poore incident ka video social media par viral ho raha hai.
Wahin Owaisi ka kehna hai ki unhe is baat ki pehle se koi jaankari nahi thi. Unhe khade hone ke liye kaha gaya, toh woh khade ho gaye.
Ab police ki is galatfehmi ko lekar sawaal uth rahe hain.