Supreme Court Ne Maharashtra Hukumat Ko Lagai Phatkar, Kaha, Zameen Ka Muaawza Dein Warna “Ladli Yojana Bahan” Scheme Per Laga Di Jayegi Rok.

Supreme Court Ne Maharashtra Hukumat Ko Lagai Phatkar, Kaha, Zameen Ka Muaawza Dein Warna “Ladli Yojana Bahan” Scheme Per Laga Di Jayegi Rok.
View this post on Instagram
AdvertisementA post shared by Galli News India | Mumbai News (@gallinews_com)
Is case ki sunvaee justice B.R Gawai aur K.V vishwanathan ki bench ne ki thi is dauran justice Gawai ne Kaha ki Adalat ko halke main na lien aap Adalat ke hukm ko laparvahi se nahin le sakte aapke pass ladli bahana scheme ke liye kafi rakam hai.
Aapko chahie ki zameen ke nuksan ki talafi ke liye aap thoda sa hissa un paison mein se yahan bhi dein.
Court n 1963 se lekar Aaj Tak is Zameen ko ghairkanooni taur per istemal karne ke liye mauvze ki hidayat karte hue kaha ki agar zameen hasil karna chahte hain to new land act k tehet hasil karein.
Court ne in baton ke jawab ke liye Wednesday tak ka waqt diya hai.
Aapko Bata Den ki aakhir yeh zameen ka pura mamla hai kya ?
Darasal shikayat karne Wale ne dawa kiya ke unke baap dadaon ne 1950 mein Pune mein 24 ekad zameen kharidi thi jis per Central hukumat ne 1963 mein kabza kar liya tha jab darkhawst Guzar ne Supreme court mein Jeet kar zameen ki darkhwast ki to hukumat ne kaha ki yeh zameen ARDEI ko di gai thi .
hukumat n kaha ki darkhawst Guzar ko ek aur zameen Di gai thi lekin yah Jungle ki zameen thi is mamle per muavzaj talab Kiya gaya hai.