Bandra Lake Par Kabootar Ko Daana Khilane Par 4 Logo Ke Khilaf Case Darj.
Bandra Lake Par Kabootar Ko Daana Khilane Par 4 Logo Ke Khilaf Case Darj.
View this post on Instagram
Bandra Lake ke paas kabootaro ko daana khilane ka mamla ek baar phir s garam ho gaya hai! Bandra Police ne 4 logon ke khilaf case darj kiya, kyunki unhone Bombay High Court ke kabootar ko daana daalne par ban ko tod diya.
Yeh ghatna tab hua jab BMC ke officer Yogesh Phalke ne teeno shaks – Mehtab Shaikh, Nikhil Saroj, aur Salam Durgesh Kumar – ko kabootar ko daana khilate pakad liya. Wahan ek unknown mahila bhi dikhayi di jo dana daal rahi thi, lekin warning ke baad apni scooter par baith kar farar ho gayi.
BMC officer Phalke ne shikayat ki k yeh log court ke order ke khilaf kabootar ko daana khila rahe the. Police ne Bharatiya Nyaya Sanhita (BNS) ke tahat FIR darj ki. Teeno shaks ko wahi pakad liya gaya, lekin mahila abhi bhi faraar hai aur police uski talash mein hai.



