Cyclone Fengal Update – Heavy Rainfall Ke Tamil Nadu Mein Kayi Jagah Flood Jaise Halat Ban Gaye, Flights Affected Hui
View this post on Instagram
Bengal Ke Samundra Mein Uthe Cyclone Fengal 30 November Ko Tamil Nadu Ke Coastal Areas Se Takraya, Cyclone Ke Chalte Badle Mausam Tez Hawaen Aur Heavy Rainfall Ke Chalte Kayi Jagah Flood Jaise Halat Ban Gaye The Sunday Ko.
India Meteorological Department (IMD) Ne Bataya Ke Cyclone Fengal Ka Asar Aaj Dheere Dheere Kam Hota Jaa Raha Hai.
Kharab Mausam Aur Situation Ko Dekhte Hue Puducherry Mein Aaj Bhi Private Aur Government Schools, Colleges Ko Chhutti Di Gayi Hai.
Tamil Nadu Chief Minister MK Stalin Aur Unki Team Cyclone Impact Se Hui Kharab Situation Par Nazar Banaye Hue Hain Aur Sabhi Authority Ko Logon Ki Safety Ke Liye Deploy Kar Diya Gaya Hai.
Tamil Nadu Authorities Ne Rajya Mein Samundra Ke Kinare Rehne Wale Sabhi Logon Ko Alert Rehne Aur Sarkar Dwara Bataye Gaye Sabhi Safety Measures Ko Follow Karne Kaha Hai.