- Home
- All News
- Gaza Mein 112 Filastiniyon Ki Ek Saath Ada Ki Gai Namaz-eJanaza, Kai Mahino Baad Malbe Se Nikale Gaye parthiv sharir.
Gaza Mein 112 Filastiniyon Ki Ek Saath Ada Ki Gai Namaz-eJanaza, Kai Mahino Baad Malbe Se Nikale Gaye parthiv sharir.
Gaza City ke Sabra ilaqe mein 112 Filastiniyon ki ek saath Namaz-eJanaza ada ki gayi aur unhe supurd-e-khak kiya gaya.
Yeh tamam afrad 2023 mein Israeli hamle mein shaheed hue the aur unke parthiv sharir malbe ke neeche dab gaye the.
Gaza Civil Defence ne lagbhag 136 din tak chale rescue operation ke baad unke parthiv sharir baramad kiye.
Batadein ki Shaheedon mein zyadatar Abu Sharia aur Al-Hasayna parivaron ke afrad shamil the.
Janaza mein badi tadaad mein logon ne shirkat ki aur shaheedon ko aakhri vida di.
Gaza Civil Defence ke mutabik, malbe ke neeche ab bhi kai logon ke parthiv sharir hone ka andesha hai aur rescue operation jaari hai.
Related