Judge Sahab Ka Naam Allegedly Rishwat Lene Ke Mamle Mein Aaya, Bail Dene Ke Liye Rs 5 Lakh Ki Demand Ki Thi At Satara Maharashtra
View this post on Instagram
Crime Karne Ke Baad Logon Ko Judge Ke Saamne Hazir Hona Padta Hai, Lekin Agar Judge Hi Crime Karne Lage Toh Samaj Ke Liye Yeh Accha Sandesh Nahi Hai.
Khabron Se Mili Jankari Ke Anusar Haal Hi Mein Anti Corruption Bureau Pune Unit Ke Deputy SP Dayanand Gawade Ne Bataya Ke Satara District Aur Sessions Court Ke Judge Sahit 4 Logon Ke Khilaf Allegedly Rishwat Lene Ka Mamla Darj Kiya Gaya Hai.
Bataya Jaa Raha Hai Ke Pune Ki Ek Mahila Se Uske Father Ko Financial Fraud Case Mein Bail Dilane Ke Liye Rs 5 Lakh Ki Rishwat Mangi Thi, Jise Mahila Ne Dene Se Inkaar Kiya Aur Pune Anti Corruption Bureau Se Complaint Kiya Tha.
Pune ACB Ne Bhartiya Nyaya Sahinta Ke Tehat Aur Prevention Of Corruption Act Ke Tehat Mamla Darj Kar Qanooni Karwai Shuru Ki.