All NewsBreaking NewsMumbai

Madraso mai Interference Bardasth Nahi ki Jayengi : MLA Rais Shaikh ne Eknath Shinde Govt ko Sakth Alfazo mai Saaf saaf keh diya

Madraso mai Interference Bardasth Nahi ki Jayengi : MLA Rais Shaikh ne Eknath Shinde Govt ko Sakth Alfazo mai Saaf saaf keh diya

Maharashtra m Madarso ko le kar siyasat garmai,SP vidhayak Rais Shaikh n sarkar ki mansha par  uthaye sawal

Darasal Modernisation ke naam par Madraso ko diya jaa raha 2 lakh ka Fund ko Maharashtra CM Eknath Shinde ne 10 lakhs Rs kar di hai

“Adaab aap dekh rahe h Galli News.”

Maharshtra m Madarso ko le kar siyasat ki ja rahi h.

Aap ko batadein nazreen, k maharshtra sarkar n madarso ka fund  2 lakh se Badha kar 10 lakh Kar diya hai  lekin kuch sharte bhi lagai h

isi ko le kar Samajwaadi Party k Vidhayak Raees Shaikh n  sarkar ki mansha par sawal uthaye h.

Rees Shaikh n kaha k Sarkar k iraado par hame shuba h kyu k fund k liye aisi sharte lagai gai h jis s mehsoos hota h k in sharto ki waja s madarso ko majbur kar diya jaye ga .”

Ab sawal ye banta h k sarkar n kon si sharte lagai h ?

Aap ko batadein nazreen Maharashtra k Mukhye mantri eknaath shinde n madarso ko 10 laakh ki madad dene ka faisla kiya h , sarkar n sharte rakhte hue GR m kaha ki un madraso ko ye raqam di jaye jo apne syllabus m Math aur Science padhate h .

In sharto par Raees Shaikh n kaha ki hamari madad karo lekin apna gulam mat banao aur hamare madrase m dakhal andaazi mat karo

Raees Shaikh n mazeed kaha ki agar aap ki niyaat acchi h to fund do lekin ye sharte hata do kyu ki is sarkar par hame bharosa nahi h ”

Aap ki kya rai h nazreen hamein comment kar k zarur batayein aur is tarah ki taaza tareen khabro k liye Galli news par bane rahe.

Related Articles

Back to top button

Discover more from Gallinews India

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading