Mumbai Ki Hawa Hui Kharab, Delhi Se Bhi Zyada Pollution Hai, South Mumbai Sabse Aage
Monsoon sesason ke baad aisa pehli baar hua hai ke Mumbai ki Air Quality bahut kharab measure ki gayi ho, itni kharab ke Delhi se bhi zyada polution wala city ban gaya hai Mumbai
GALLINEWS SHORTS PRESS LINK
View this post on Instagram
System of Air Quality and Weather Forecasting And Research (SAFAR) ke mutabiq Mumbai ka latest overall air quality index (AQI) 119 dika raha hai jo ke moderate category me aata hai aur Delhi ki baat karen toh Delhi ka overall air quality index 83 bataya jaa raha haj jo Satisfactory category me aafaha hai
South Mumbai ki baat karen toh Chhatrapati Shivaji Maharaj Terminus (CSMT) area ke pass ki AQI very poor category darj ki gayi hai
Health Advisors aur Jankaro ki mane toh South Mumbai ke logon ko zyada waqt bahar rehne se bachna chaiye iss se saans related shikayat hosakti hai aur Polution control par zor dena chaiye