Mumbai Mausam – Heavy Rain Fall Hone Ki Sambhavna, IMD Ne Mumbai Me Yellow Alert Kiya Hai, Dopehar 2.51 Baje Hoga High Tide 4.64 Meter
Mumbai Me Aaj Subha 4:45 Baje Se Ruk Ruk Kar Mausladhaar Baarish Gir Rahi Hai Jiske Chalte Mumbai Me Kayi Nichle Jagahon Par Paani Bhar Gaya Hai
View this post on Instagram
Andheri Subway Me Water Logging Ke Chalte Traffic Movement Ke Liye Bandh Kiya Gaya Tha, Western, Central Aur Harbour Lines Ki Sabhi Trains Apne Waqt Se 5 Se 10 Minutes Ki Deri Se Chal Rahi Thi
BMC Ne Bataya Ke 24 July Ki Subha 8 Baje Se Aaj 25 July Ki Subha 8 Baje Tak Mumbai City Me 44 Mm, Eastern Suburbs Me 90 Mm Aur Western Suburbs Me 89 Mm Baarish Hui Hai
Sath Hi Bataya Ke Mumbai Ke Samundri Kinaron Par Aaj Dopehar 2 Bajkar 51 Minutes Par High Tide Hoga Jisme 4.64 Meter Oonchi Samundri Lehren Uthengi