Mumbai Mein Malaria Ke Mareez 5 Saal Mein 3 Guna Badhe, October Tak 12,574 Cases Darj; Pichhle Saal Ke Muqable 4,053 Ka Izafa.
Mumbai mein malaria ke mareezon ki tadaad mein lagataar izafa saamne aaya hai.
BMC ke Public Health Department se RTI activist Chetan Kothari ko mili jaankari ke mutabiq, 2022 mein Mumbai mein malaria ke 3,985 cases darj hue the, jo 2023 mein badhkar 7,319, 2024 mein 7,939 aur 2025 mein 10,163 ho gaye. Wahin, October 2026 tak mareezon ki tadaad badhkar 12,574 pahunch gayi, jo 2022 ke muqable lagbhag teen guna hai.
Pichhle saal October tak 8,521 cases the, yaani is saal isi duration mein 4,053 cases ka izafa hua hai.
Ek taraf Maharashtra Sarkar ne 2030 tak Maharashtra ko malaria-free banane ka target rakha hai, wahin Mumbai mein badhte cases is target ke saamne ek badi chunauti ban rahe hain.
BMC ke mutabiq, malaria ki roktham ke liye fever surveys, blood sample collection, machharon ke breeding spots ki jaanch, fogging aur insecticide spraying jaise kadam uthaye ja rahe hain.
Iske bawajood mareezon ki tadaad mein izafa darj hua hai. Reports mein chikungunya ke cases mein bhi kami saamne aayi hai, lekin kuch hospitals mein testing facilities ki kami ko lekar sawaal uthaye gaye hain.