
Ola, Uber Cab Ride Cancel Karne Par Driver Aur Passenger Ko Fine Lagega
Maharashtra Government Ne App-Based Cab Services Jaise Ola, Uber, Aur Rapido Ke Liye Ek Naya Aggregator Cabs Policy 2025 Introduce Kiya Hai,
View this post on Instagram
Advertisement
Jisme Ride Cancellations Pe Strict Rules Lagaye Gaye Hain.
Advertisement
Ab Agar Driver Ek Confirmed Ride Cancel Karta Hai, Toh Usse 10% Fare Ya Rs 100 Jo Bhi Minimum Ho Ka Penalty Dena Hoga, Jo Direct Customer Ke Account Mein Credit Hoga
Agar Passenger Bina Valid Reason Ke Ride Cancel Karta Hai, Toh Usse 5% Fare Ya Rs 50 Ka Penalty Dena Hoga, Jo Driver Ke Account Mein Jayega
Ab Sawal Yeh Hai Ki Valid Reason Ka Faisla Kaun Karega,
Aksar Driver Traffic Ka Bahana Karke Late Pahuchte Hai, Tab Tak Passenger Ko Bhi Local Taxi Ya Ride Mil Jaati Hai, Aise Mai Kaun Penalty Bharega??