Rani Baug Byculla Zoo 1 November se public ke liye open hoga
Bharat ka sabse zyada charcha main rehne wala Byculla Zoo Veer Mata Jijabai Bhosale Udyan
(Rani Baug) Tourist ke liye 1 November se open karne ka faisla liya hai BMC ne
Covid19 ke cases kam hue hain jise dekhte hue precaution ke sath Rani Baug ke gate 1 November se khole jayenge
Zoo Over Crowd hone par entry rok di jayegi
Luggage ya khane peene ka saaman carry na kare entry main roka ja sakta hai
Face mask lagana/ social distancing follow karna aur entry par hand sanitize karna hoga sabhi logon ko
For Tourist Zoo Time 9.30 Am to 6.00 Pm
For Jogging/Walking people 6.00 Am to 8.30 Pm
Ticket Windiw shaam ko 4.00 baje bandh ki jayegi







