Samundra Me Protest, Madh Area Ke Koli Logon Ne Bandra Versova Sea Link Survey Ka Virodh Kiya
Mumbai ke samundra kinare par sabse pehle Worli se Bandra sea link banaya gaya jise ab extend karke Bandra se Versova phir future me Versova se Vasai Virar tak lejane ka sarkar ka vichar hai
Iss Sealink project ko lekar Sarkar ki taraf se Sealink Survey shuru kiya gaya hai jiss par local Macchi Maar logon ne virodh jataya hai
Malad ke Madh gaon, patwadi gaon, Dhondi Gaon, Malwani Gaon, Manori Gaon, Gorai Gaon ke rehne wale koli samaj ke Macchi Maar logon ne virodh kiya aur samundra ke beech 1.5 km andar jaakar protest kiya
Macchi Maar logon ka kehna hai ke hume bina bataye bina confidance me liye yeh kaam shuru kiya gaya hai, Macchi maarne ki jagaha par zabardasti yeh kaam kiya jaa raha jiss se sabhi Macchi Maar logon ka bahut nuqsan hoga