MumbaiOld Breaking News

Chota rajan gang ke aaropi ko 15 saal baad pakda mumbai police ne

Chota rajan gang ke aaropi ko 15 saal baad pakda mumbai police ne 

Chandrakant Patil Anna (60Yrs) urf Charan Palkar jo belgaum main apna naam badalkar reh raha tha Mumbai police zone 11 ne pakda 

1991 main vadrai village ke samundra main abbroad se aaya hua illeagle chandi (Silver) se bhari ship dubi thi

Iss ship ko vadrai gaoon walon ne jamm kar loota tha jiss se naraz ship mangane walon ne kuch gaon walo ka murder kiya kuch ko zinda jala diya 

Iss Silsile ke aaropi Chandrakant Patil ka bhi naam tha jisko 1997 main zamant par riha kiya gaya tha aur woh bhag gaya 

Chandrakant patil bhag kar delhi gaya jahan subhash singh ki gang ke liye illeagle arms ki smuggling main pakda gaya 

Delhi police TADA act ke tehat Chandrakan ko arrest kiya tha jiske liye court me 10 saal ki saza sunai thi 

Lekin Nala sopara ke Chandi matter main Chandrakant ko nala sopara police ne apni custody main liya phir ek baar Chandrakant zamanat par bahar aaya phir court main haazir hua hi nahi 

Aur Chota rajan ki gang main kaam karne laga iss dauran nala sopara main ek zameen ke mudde par Rajendra Patange ka chota rajan gang ne murder kar diya iss murder main bhi baaki aropi ke sath police Chandrakant ki talash kar rahi thi jiski khabar milte hi chandrakant apni original pehchan chupa kar Charan palkarvke naam se Belgaum main Estae agent ka kaam karte hue rehne laga 

Estate agent ke kaam se uska Nala sopa and Birivali main aana jana laga rehta tha jiski khabar crime branch zone 11 ko milte hi police ne plan kar ke chandrakant ko pakda

Police team 

Chimaji Aadhav (PI), PI Anand Ravrane, Arvind Ghag, Raes Shekh , Sharad Jine, Nitin Utekar, Shesh Rav Shelke, Narendra Maykar, Avinash Shinde, Shivaji Sawant, Ravindra Bhadim, Ulhas Parab, kishor Nlavde est team.

 

Gallinews.com
Please Subscribe Gallinews New You Tube Channel and

Press Bell Icon to get Regular Update Press Link & Subscribe

https://www.youtube.com/c/Gallinews24X7

Related Posts

1 of 15,340