Dia Mirza Ke Diwali Video Par CM Devendra Fadnavis Ka Bayan, Kaha ‘Yeh Hamare Level Ka Maamla Nahi’.
Maharashtra ke Chief Minister Devendra Fadnavis ne actor Dia Mirza ke Diwali video par Bombay High Court ke order ke baad apni pratikriya di hai.
Fadnavis ne kaha ki yeh maamla unke level ka nahi hai aur video hatane ka faisla BMC ne liya tha, Maharashtra sarkar ne nahi. Unhone kaha ki social media handle par kya rakhna hai aur kya hatana hai, yeh BMC ka adhikar hai.
Dia Mirza ne BMC ke eco-friendly Diwali campaign ke liye video banaya tha, jismein unhone logon se public roads par patakhe na phodne aur pollution kam karne ki appeal ki thi.
BJP leader Ameet Satam ki aapatti ke baad BMC ne video hata diya tha. Iske baad Bombay High Court ne video hatane par narazgi jatayi aur BMC ko video dobara upload karne ka aadesh diya.
Fadnavis ne kaha ki High Court ne sarkar ke khilaf koi sakht tipanni nahi ki, balki apni rai rakhi hai.