Govandi-Mankhurd Mein Pollution Ka Bolbala! Govandi
Shasan-Prashasan ki laparwahi se Govandi-Mankhurd ilake mein RMC plants ki cement ki dhool aam logo ke fephdon tak pahunch rahi hai!
Marriage halls aur schools ke bilkul pas chal rahe in illegal plants se logo ka saans lena mushkil ho gaya hai.
Local residents ne administration se in plants ko turant residential areas se hatane ki maang ki hai.










