Mumbai Ka Mausam Hoga Suhana Iss Weekend, Acchi Baarish Hone Ki Sambhavana, IMD Ne Bataya Yellow Alert
Mumbai Me Iss Month August Ke Shurwat Me Acchi Baarish Hui Thi Jiske Baad Baarish Ne Ek Lamba Break Le Liya Tha Aur Badhte Temperature Se Mumbaikars Ki Halat Kharab Hone Lagi.
View this post on Instagram
Mausam Vibhag Ke Mutabiq 2 Din Pehle Wednesday Ka Din August Month Ka Sabse Garam Din Tha, 1969 Ke Baad August Month Me 33.7 Degrees Celsius Temperature Record Kiya Gaya.
Filhal Mausam Ke Jankaron Se Mili Taaza Jaankari Ke Anusar Mumbai Aur Aaspass Ke Areas Me 24 August Se 26 August Ke Beech Achchi Baarish Hone Ki Sambhavana Hai.
BMC Ne Bataya Aaj Dopehar 2 Bajkar 15 Minutes Par Mumbai Ke Kinare Samundra Me High Tide Rahega Aur 4.65 Meter Oonchi Lehren Uthengi.