Salim Fruit Ko Bete Aur Beti Ki Shaadi Ke Liye 30 Din Ki Interim Bail Mili Mumbai NIA Court Ka Order
Mumbai ki Special NIA Court ne Mohammed Salim Qureshi alias Salim Fruit ko apne bete aur beti ki shaadi mein shamil hone ke liye 30 din ki interim bail di hai.
Court ke order ke mutabik, Salim Fruit ko 5 November 2026 ko release kiya jayega aur 4 December ko shaam 5 baje tak jail wapas lautna hoga.
Bail ke liye ₹1 lakh ka PR bond aur local surety deni hogi.
Iske alawa poore 30 din unke saath 2 police personnel round-the-clock tainaat rahenge, jinka kharcha Salim Fruit ko khud uthana hoga. Iske liye ₹1 lakh advance bhi jama karna hoga.
Court ne yeh bhi shart rakhi hai ki woh sirf apne residence aur shaadi ke venues tak hi ja sakenge. Kisi witness se contact karne ya evidence ke saath chhedchhad karne ki ijazat nahi hogi.
Chhota Shakeel ke brother-in-law Salim Fruit ko NIA ne 4 August 2022 ko D-Company se jude terror funding aur extortion case mein giraftar kiya tha.
NIA ka aarop hai ki Salim Fruit, Chhota Shakeel ke naam par property dealings aur disputes settle karwane ke liye paise vasool karte the, jinka istemal terror funding ke liye kiya jata tha.
Salim Fruit August 2022 se jail mein band hain aur filhaal Taloja Central Prison mein hain. Unki regular bail application 10 February 2026 ko reject ho gayi thi, jiske khilaaf appeal Bombay High Court mein pending hai.
NIA ne interim bail ka virodh kiya tha aur witnesses ko dhamkane, evidence se chhedchhad aur faraar hone ka khatra jataya tha.
Lekin court ne kaha ki in concerns ko sakht sharton ke zariye address kiya ja sakta hai aur isi buniyad par temporary bail manzoor ki gayi hai.