Mumbai Mein Baarish Ki Dua, Kai Masajid Mein Salatul Istisqaa Ka Ailaan
Mumbai Shehar mein baarish ki kami ko dekhte hue aaj Juma Namaz ke baad kai masajid mein baarish ke liye khaas dua ki gayi. Namaziyon ne Allah Ta’ala se rehmat ki baarish nazil farmane, paani ki kami door karne aur mulk mein aman, sukoon aur taraqqi ata farmane ki dua ki.
Is mauqe par mulk ki salamati, aman-o-shanti aur logon ki khair-o-aafiyat ke liye bhi khaas duayein maangi gayin.
Iske saath hi kai masajid mein aane wale Itwaar (Sunday) ko Salatul Istisqaa ada karne ka ailaan bhi kiya gaya hai. Mumbai ke Murgi Mohalla Maidan mein Pattharwali Masjid ki janib se 21 June ko dopahar 2:30 baje Salatul Istisqaa ka intezam kiya gaya hai.
Aap ko batadein ki Salatul Istisqaa kya hai?
Salatul Istisqaa ek masnoon (Sunnat) namaz hai jo sukhe ya baarish ki kami ke dauran Allah Ta’ala se baarish ki darkhwast aur rehmat talab karne ke liye ada ki jaati hai. Nabi-e-Kareem ﷺ ne bhi baarish ki zaroorat ke waqt ye namaz ada farmayi aur Allah se dua ki thi.
Is namaz mein Musalman jama hokar Allah Ta’ala se gunahon ki maafi, rehmat aur faydemand baarish ki dua karte hain.
Ulema ne zyada se zyada istighfar, tauba aur dua karne ki bhi talqeen ki hai taaki Allah Ta’ala apni rehmat nazil farmaye aur shehar ko paani ki pareshani se nijaat ata kare.
Aao hum sab bhi mil kar dua kare k Allah Rehmat wali baarish barsaye
*Aap apne comments hamein zarur karein aur khabro k liye Galli news par bane rahiye.*










